Hindi Love Shayari

Latest 100+ Love Shayari in Hindi 2026 🌹 | Pyar Bhari Shayari Hindi Me

Namaste Doston! Aaj hum love shayari in Hindi ki ek behtreen collection pesh kar rahe hain, Pes Hain ‘Latest 100+ Love Shayari in Hindi 2026 🌹‘ Doston pyaar ek aisa ehsaas hai jo zindagi ko ek khoobsurat safar bana deta hai. Pyaar insaan ko pura badal deta hai or usse behtar bana deta hai, kyunki pyaar hamesha dil ko sukoon deta hai aur zindagi ko meetha bana deta hai. Jab dil kisi se sachcha pyaar kar baithta hai, toh har pal unki yaadon se mehka hua lagta hai. or shayari hi woh zariya hai jo dil ki baat ko alfaazon ke jariye kisi tak pahunchati hai, shayari dil se nikli hui woh baat hoti hai jo seedha kisi aur ke dil tak jaakar usme ek halka sa dhadkan ka ehsaas jagati hai. Chaliye doston aaj ki humari latest 100+ Love Shayariyon ki Shuruwat karte hain.

Latest Love Shayari In Hindi

🖇 Meri jaan, meri wafa ho tum…
Us kudrat ka diya hua ek nayab tohfa ho tum. 🤍

🌷 Mohabbat sare-aam nahi, bas ehsaas hona chahiye,
Hum unhe chahte hain, yeh pata sirf unhe hona chahiye… 🕊️

𓍯 Haqeeqat na sahi, tum khwaab ki tarah mila karo,
Bhatke hue musaafir ko chaandni raat ki tarah mila karo. ✨

Latest Love Shayari In Hindi
𓍯 Kuch nasha tumhari baat ka hai,
Kuch nasha dheemi barsaat ka hai,
Ye jo dil paagal ho gaya hai…
Is par nasha tumhari pehli mulaqat ka hai. ✨

𓍯 Dil mein teri chaahat, labon pe tera naam hai,
Tu mohabbat kare ya na kare…
Meri zindagi toh bas tere naam hai. 💌

𓍯 Mohabbat ka dariya behad gehra,
Tu mere dil ka sira… main tere pyaar ka kinaara. 🕊️

🦋 Na jaane kyun tujhe dekhne ke baad,
Bas tujhe hi dekhne ki chaahat rehti hai… 💗

𓍯 Adhuri baat hai… par mera kehna zaroori hai,
Meri chalti saans tak tera rehna zaroori hai. ✨

Love Shayari in Hindi for Couples

🫧 Kuch sochu to tera khayaal aa jaata hai,
Kuch bolun to tera naam aa jaata hai,
Kab tak chhupaun dil ki baat…
Teri har ada par mujhe pyaar aa jaata hai. 💗

🦋 Ab to shayad hi mujhse mohabbat karega koi,
Teri tasveer jo meri aankhon mein saaf nazar aati hai. 💌

🦋 Dil bhi tune banaya aur naseeb bhi ae Khuda,
Phir jo dil mein hai woh naseeb mein kyun nahin… 🤍

🫧 Tamaam alfaaz tere bin bematlab hain,
Chand kahaaniyan tere bin adhoori hain. 💗

Love Shayari in Hindi for Couples
🧿 Pyaar mein main tere aur kareeb aana chahta hoon,
Hothon ko chumkar tujhe gale lagana chahta hoon. 💗

🫧 Khushiyon ki aarzu mein muqaddar so gaye,
Aandhi aisi chali ki apne bhi kho gaye. 🌙

🦢 Main yun milun tujhse ke tera libaas ban jaaun,
Tujhe samandar, aur khud pyaas ban jaaun,
Aaj pehlu mein mujhe toot kar bikhar jaane do,
Kal shayad mumkin na ho ke main tumko paa sakun. 💗

𓍯 Woh door rehkar hi itni acchi lagti hai,
Socho paas hoti to kya qayaamat hoti… 🌙

Best Love Shayari 2026

🦋 Andaaza meri mohabbat ka sab laga lete hain,
Jab tumhara naam sunkar hum muskurane lagte hain. 💗

🧿 Meri jaan… pyaar kya hota hai humein kahan pata tha,
Bas ek din tum dikhe… aur hum kho gaye. 🌙

🫧 Na jaane kya masoomiyat hai tere chehre par,
Tujhe saamne aane se zyada chupkar dekhna accha lagta hai. 🌷

🫧 Luta diye saare tareeke maine tumse nazrein milane ke,
Ab dhoondh lo bahaane tum bhi mere kareeb aane ke… 💌

Love Shayari For Girls
🧿 Udaas lamhon ki na koi yaad rakhna,
Toofan mein bhi apna wajood sambhaal rakhna,
Kisi ki zindagi ki khushi ho tum,
Bas yahi sochkar tum dil ka iqraar rakhna. 🌷

𓏧♡ Aane ka wada to kar lete ho, par nibhana bhool jaate ho,
Laga kar aag dil mein, aap bujhna bhool jaate ho. 🕊️

🌷 Bahut khaas insaan hai woh,
Jisne mera har din khaas bana diya. 💗

🦋 Tumhara pyaar ek toofani raat ke baad ka sooraj hai,
Jo garmaahat aur aasha lekar chamakta hai.
Har nigaah ke saath meri duniya badal jaati hai,
Tumhare pyaar mein mera dil samaane lagta hai. 🌙

Love Shayari for Girlfriend

🌷 Tujhse milne ki tamanna mein,
Main saari raat jaagta hoon. 🕊️

🫧 Parwah kar uski jo teri parwah kare,
Zindagi mein jo kabhi tumhe tanha na kare,
Jaan ban kar utar ja uski rooh mein,
Jo jaan se zyada tumse wafa kare. 💞

🌷 Mere sapno ko sada yun hi mehekta rakhna,
Maine thaama hai tera haath bade maan ke saath. 🕊️

𓍯 Dekh kar unka husn kab hui hai mohabbat,
Woh to bas unka kaajal laga kar aana hi meri jaan le gaya. ✨

🖤 Mohabbat ke is safar mein tera saath chahiye,
Har lamha bas tera haath chahiye…
Duniya kuch bhi kahe mujhe parwah nahin,
Tujhe apna kehne ka bas ek mauka chahiye. 💕

🧿 Bahut mushkil hota hai kisi ka dard samajhna,
Dard wahi samajhta hai jo sach mein apna hota hai… 🫶🏻

🦋 Tujh par aitbaar karna hai,
Dil jaan se pyaar karna hai,
Meri khwahish zyada nahi, bas itni si hai,
Har lamhe mein tujhe apna bana kar rakhna hai. 💕

🧿 Woh mujhse bichhadna chahti thi,
Maine kaha… meri maut ki dua kar! 🖤

Heart Touching Love Shayari

🌷 Teri yaadon mein khona,
Teri baaton mein kho jaana…
Yahi hai meri mohabbat ka sachcha pyaar. 🕊️

✨ Pata nahi kitna pyaar ho gaya hai,
Tumse naaraz hone par bhi tumhari bahut yaad aati hai. 💞

🌷 Mujhe kisi aur se kya matlab,
Mera dil bhi tum… aur jaan bhi tum. 🕊️

🧿 Pyaar ke daaman mein lipte hum kahaan tak aa gaye,
Hum to nazar tak chahte the… tum to dil par chha gaye. 🌙

🌷 Aankh bandh karke chalaana khanjar hum pe,
Kahin hum muskurane lage… to qatl tumhara hi hoga. 🕊️

🫶🏻 Dil ke kone se ek awaaz aati hai,
Humein har pal unki yaad aati hai,
Dil poochta hai baar-baar humse…
Jitna hum yaad karte hain unhe,
Kya unhe bhi hamari yaad aati hai? ✨

🦋 Pati-patni mein koi rooth jaaye to ek-dooje ko mana lo,
Dil uthhe mohabbat ke armaan to khulkar bata do. 💕

🌙 Tere bina zindagi adhoori si lagti hai,
Jaise bina dhaage ke maala bikhar jaati hai. 🌷

Pyar Bhari Shayari Hindi Me

🦋 Ek-dooje ki galti ko bhool kar,
Ek-dooje ka saath dena hi sachchi mohabbat hoti hai. 💕

🧿 Woh kabhi waqt aur haalaat nahi dekhti,
Agar keh de abhi aao… to bas jaana padta hai. ✨

🧿 Tere husn ki chamak salamat rahe,
Sadiyon tak zameen par teri qayamat rahe. 🌙

Pure Love Shayari in Hindi

🧿 Pyaar hai to jaayega kahaan?
Kitna bhi door raho… rehna wahi ho jahan. ✨

🫧 Meri pyaar bhari guzarish ka ehsaas to kar le,
Main sirf tera ban kar rahunga… itna vishwas to kar le. 💕

✨ Mohabbat ki gehraaiyon mein sabse khoobsurat kya hai?
Hum hain… tum ho… aur kisi cheez ki zaroorat kya hai. 🤍

𓍯 Us nazar ki taraf mat dekho jo tumhe dekhne se inkaar karti hai,
Is duniya ki mehfil mein us nazar ko dekho jo tumhara intezaar karti hai. 🕊️

𓏧♡ Tujh se tera thoda sa waqt maangna gunaah hai kya?
Hum mareez hain tere ishq ke… tujh se dawa maangna gunaah hai kya? ✨

🦋 Rang bhi usi ka chadha hai ab tak,
Jisne rang lagaya bhi nahi ab tak. ✨

✨ Hum tera haal poochhte bhi kaise,
Suna hai mohabbat karne wale bolte kam… rote zyada hain. 🤍

🦋 Itna pyaar karenge tumhe ki,
Agla janam bhi tum humein hi maango. 💕

Doston, shayari sirf lafzon ka khel nahi hoti, balki Shayari mein ek alag hi jaadu hota hai yeh un jazbaaton ko bhi bayan kar deti hai, jinhe hum bolkar kabhi nahi keh paate. Chahe aap apne partner ko impress karna chahte ho, apne feelings ko express karna chahte ho shayari apko humesa kaam aati hai. Jab pyaar ki baat aaye, toh shayari ek aisi zubaan ban jaati hai jisse duniya ka har aashiq relate kar leta hai. Har shayari ek kahani hoti hai kabhi hasi se bhari, kabhi aansuon se bheegi aur kabhi un yaadon se sajji jo dil ko baar-baar mehka jaati hain. or yah Humne bade pyar aur lagan se chuni hain woh 100 se zyada Romantic Shayari jo aapke aur aapke partner ke beech ki Mohabbat ko aur gehra kar dengi Asha karte hai aaj ke is article ki love shayari apko behad psnd aayengi. Dhanywaad ❤️

151+ Love Shayari Collection 2026 ❤️ | Best Cute Shayari in Hindi

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *