best sad shayari in hindi

Best 100+ Sad Shayari in Hindi 2026 💔 | Dard Bhare Emotional Quotes

Doston, zindagi ka sabse gehra dard tab mehsoos hota hai jab hum kisi ko dil se chaahte hain par badle me sirf tanhai, judai aur dukh milta hai.  Kya aapke paas bhi kuch aise unsuni baatein hain jo sirf aapki aankhon ki nami hi bayaan kar sakti hai Toh yeh special article, ‘Best 100+ Sad Shayari in Hindi 2026 💔 | Dard Bhare Emotional Quotes aapke liye hi hai . Ismein aapko milenge 100 se zyada aise Dard Bhare Emotional Quotes aur heart-wrenching Shayari jo seedhe aapki rooh ko chhoo jayenge. Har ek line mein aapko apni kahaani milegi, har ek lafz aapke ehsaason ko deeply connect karega. 

Best Sad Shayari In Hindi

💔 Dil se roye magar hothon se muskurā baithe,
Yun hi hum kisi se wafa nibha baithe..।🥀

🖤 Jis din aankhein band kar li humne,
Kayi aankhon se us din aansu barseinge,
Jo kehte hain “bahut tang karte ho”,
Wahi humaari ek shararat ko tarseinge 😢

♡ Teri aankhein bata deti hain bewafai ke saare raaz,
Ab chhupaaye nahi chhupte dil ke jhoothe jazbaat...।🎭

Best Sad Shayari
😶‍🌫️ Ab doston ke dilo mein
Dosti ke phool nahi khilte,
Dil mein nafrat liye haskar milte hain..🩶

😓 Unhe jaana tha, woh chale gaye.
Humein khona tha, humne kho diya,
Fark sirf itna tha,
Unhone zindagi ka ek pal khoya,
Humne ek pal mein poori zindagi kho di… 🌑

💔 Kaise kahu dil ko ki ab uski yaadon se door rahu,
Jab usne mere dil ko tod kar chhod diya hai majboor rahu..🥺

💔😓 Dil toot-ta hai par aawaaz nahi hoti,
Chot lagti hai magar dikhayi nahi deti..🩹

🥀 Hawa guzar gayi, patte hile bhi nahi,
Woh sheher mein aaye par humse mile bhi nahi..😢

Broken Heart Quotes

🖤 Mujhse badi saza aur kya hogi,
Ki aaj main uske bina jeene laga hoon..😢

🥀 Hum ishq mein wafa karte karte behāl ho gaye,
Aur woh bewafai karke bhi khushhāl ho gaye..😢

Broken Heart Quotes
🥺 Zindagi tabhi kyun khelti hai,
jab lagne lagta hai ki ab sab theek hoga..🌘

🥹 Teri jhoothi mohabbat ki kasmein khaate rahe,
Tere jhoothe waadon ko sach samajhte rahe,
Ab tera saath paakar bhi kyun lage ki tanha hoon,
Teri bewafāi mein hum khud ko khote rahe..🖤

💔 Sirf hum hi the tumhaare dil mein,
Bas is galatfahmi ne sab kuch barbaad kar diya…🥀

💞 Bahut se apne the mere is duniya mein lekin,
Jab se tujh se ishq hua main laawaris ban gaya.. 💔

😶‍🌫️ Ab doston ke dilo mein
Dosti ke phool nahi khilte,
Dil mein nafrat liye haskar milte hain..🩶

😔 Tum bhi tarshoge baat karne ko,
Baat jaane to do chaar kandhon tak..🩹

Dard Bhari Shayari in Hindi

😢 Mujhko to dard-e-dil ka maza yaad aa gaya,
Tum kyun hue udaas, tumhe kya yaad aa gaya…
Kehne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar,
Kuch yun basar hui ki Khuda yaad aa gaya..🥀

💔 Shabd aur soch dooriyaan badha deti hain,
Kyunki kabhi hum samajh nahi paate,
Aur kabhi samjha nahi paate..🩹

🥀 Nakhre to hum marne ke baad bhi karenge,
Tum zameen par chaloge aur hum kandhon par..⚰️

💔 Ye mohabbat karne wale bhi bahut ajeeb hain,
Wafa karo to rulāte hain, aur bewafai karo to rote hain..😞

🖤 Meri aakhon ke saamne zindagi badal rahi hai,
na kuch kar pa rahe hain, na hi sah pa rahe hain..🌑

༎ຶ‿༎ຶ Humein aadat nahi har kisi par fida hone ki,
Tumhara andaaz gazab ka tha hum sambhāl na paaye..😔

😢 Khoon ban kar munaasib nahi dil bahe,
Dil nahi maanta kaun dil se kahe,
Teri duniya mein aaye bahut din rahe sukḥ,
Ye paaya ki humne bahut dukh sahe… 💔

🖤 Alvida kehte hue jab unse koi nishani maangi,
Woh muskurate hue bole — judaai kaafi nahi hai kya.. 🎭

😢 Sabhi ko yeh bharam rehta ki aansu ruk nahi sakte,
Manaaye aur kitna hum use ab jhuk nahi sakte,
Galiyon mein tangi koi moorat hum nahi hai na,
Batayo koi use jaakar hum ab bik nahi sakte..🖤

Alone Sad Shayari

😢 Achhe hote hain jo har jagah muh maarte hain,
Jo kisi ek par marte hain wo mar hi jaate hain..💔

🫶🏻🥺 Bitani to ek umr hai tere bin,
Aur guzarta to ek lamha bhi nahi..😓

🩶 Agar tumhe wo na mile jise tum maangte ho,
To samajh lena kisi aur ne tumhe apne liye maanga hai..🎭

🤲 Khuda kabhi kisi pe fida na kare,
agar kare bhi to qayamat tak juda na kare..💞

❤‍🩹 Aur ek manzar par udaasi chhāyi hai,
Chaand ki roshni mein bhi kami aayi hai,
Akele acche the hum apne aashiyāne mein,
Jaane kyun toot kar aaj phir aapki yaad aayi hai..😢

❤‍🩹 Har tanha raat mein ek naam yaad aata hai,
Kabhi subah kabhi shaam yaad aata hai,
Jab sochte hain kar lein dobaara mohabbat,
Phir pehli mohabbat ka anjaam yaad aata hai…🥀

🩵 Meri zindagi mein rahogi tum umr bhar,
Ab chahe pyaar banke raho ya dard..🥲

🥀 Zindagi mein kuch zakhm aise hote hain jo kabhi nahi bharte,
Bas insaan unhe chhupane ka hunar seekh jaata hai..😞

Best 2 Line Sad Shayari

😢🥀 Yeh maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein..💔

😔 Roz raat ko yehi soch kar so jaata hoon,
Ki kal shayad uska ek message aayega..💔

😞 Dard kuch is qadar diya us zalima ne,
Jab hum unki mohabbat mein had se guzarr gaye..🩶

🎭 Wafa ke qisse aksar wohi log sunaate hain,
Jinke khud ke haath bewafai se range hote hain..💔

🌫️ 𓍯Bhagya to aajkal sab banaate hai,
par apna parivaar koi-koi hi bana paata hai..💭

😞 Main is baat ka bhram nahi palta,
Ke mere bina kahin bhi kuch bhi rukega..🩶

🥀 Hum bhi phoolon ki tarah kitne bebass hain,
Kismat se toot jaate hain kabhi log tod jaate hain...❤️‍🩹

Best 2 Line Sad Shayari
 😖 Kitni bhi care kar lo,
Bewafai karne wale bewafa ban hi jaate hain..🖤

🎭 Log kehte hain ki bina mehnat kuch paa nahi sakte,
Na jaane ye gham paane ke liye kaun si mehnat kar li humne…😞

😞 Dil ka har kona khaali sa lagta hai,
Jab tum yaad aate ho..💔

🎭 Ab nahi hai mujhe teri zarurat,
Kabhi lautkar mat aana..🖤

Latest Sad Shayari In Hindi 2026

🥀 Kitne saal beet jaate hain na yeh sochte hue ki bas,
Kuch waqt baad sab sahi hoga par asal mein sab sahi kabhi nahi hota.😔

🖤 Kho diya hoon main khud ko, khud se juda ho gaya hoon,
Dard ke in lamhon mein main khud ko kho baitha hoon..😣

😓 Arey bepanah mohabbat ki thi humne tujhse o bewafa,
Tujhe dukh doon ye na hoga kabhi, khud mar jaaun yahi theek hai..🖤

⚠️ Sambhal kar rehna tu ae dil,
yahan zehar bahut hai,
apne kam hain par gair bahut hain..🥀

🎭 Woh mili bhi to kya mili, ban ke bewafā mili,
Itne to mere gunāh na the jitni mujhe sazā mili…💔

🥀 Le raha tha mohabbat ki chaadar ishq ke bazaar se,
Bheed se awaaz aayi — kafan bhi lete jaana, aksar yaar bewafa hote hain…🖤

💧 Kabhi kabhi insaan na toot-ta hai, na bikhar-ta hai,
Bas haar jaata hai… kabhi kismat se, to kabhi apnon se..😔

💔 Woh bewafa hai to kya, mat kaho bura usko,
Ki jo hua so hua, khush rakhe Khuda usko.. 🌙

Latest Sad Shayari In Hindi 2026
💔 Hans kar kabool kya kar li sazaayein maine,
zamaane ne dastoor hi bana liya har ilzaam mujh par madhne ka..🥀

Doston agar aap ishq ki haar, dosti ka dhokha, ya zindagi ki mushkilon se thak chuke hain, toh yeh sad shayari aur two-line shayari aapke liye ek sahara banengi. yeh hamare dil ki un baaton ko alfaazon me badal deti hai jo hum bol nahi paate. Shayad isi liye log dard bhari shayari ko apne dil ka sahara bana lete hain — kyunki har lafz me ek chupa hua aansu hota hai, aur har line me ek bechain si yaad. Har shayari ek lamha, ek kahani, aur ek dard ka tukda lekar aati hai — jo shayad aapke dil ko halka kar de, ya shayad aapko apni yaadon me dooba de. Pyaar aur dard dono hi universal hain, aur shayari un dono ka sabse khoobsurat zariya hai.

Umeed karta hoon ki iss article me jo dard bhari aur emotional shayari aapne padhi, unhone aapke dil ko thoda sa sakoon diya hoga. Zindagi me dard aana tay hai, par usse sehna aur samajhna ek kala hai — aur shayari hume wahi himmat deti hai.

Latest Sad Shayari in Hindi for Love 💔 | Emotional & Heartbroken Lines 2026

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *