Badmashi Shayari

Best Badmashi Shayari In Hindi 😎 | Attitude Shayari 2026

Doston, attitude ek aisi cheez hoti hai jo insaan ki asli pehchaan banati hai. Har kisi ke andar thoda sa badmashi wala swag zaroor hota hai, jisse baat karne ka tareeka itna bhi naram na ban jaye ki har koi aapko halke me le. Jab thoda badmashi wala attitude aapke lehje me hota hai, to log aapse dar ke saath baat karte hain. Aaj ke time me log kehte hain ki attitude mat dikhaya karo, lekin bhai, attitude dikhana nahi jeene ka style hota hai. Is article me tujhe wo shayariyaan milengi jo tera royal style aur swag ko aur bhi powerful bana dengi. Chahe doston ke beech baat karni ho ya social media par apna tashan dikhana ho, har line me milega jabardast dum aur har lafz me attitude ka solid tashan. Best Badmashi Shayari In Hindi 😎

Badmashi Shayari 2026

🦁 Aisa koi shehar nahi jahan apna kahar nahi,
Aisi koi gali nahi jahan apni chali nahi..⚔

⚠ Jo humare virodh mein hain — apni suraksha ki zimmedari swayam lein,
Mauka-e-vaardat par prashasan bhi saath nahin dega..! ⚔️🗿💀

Badmashi Shayari 2026
🐯 Zindagi apne hisaab se jeeni chahiye,
oron ke kehne par to sher bhi circus mein naachte hain..🦅

👑 Hamari sharafat ka ghalat faayda mat uthao,
Warna 'sharafat se bahar' bhi hum aate hain! 😈

🦁 Hathiyaar to hum shauk ke liye rakhte hain,
Khauf ke liye to hamara naam hi kaafi hai.☠

🔥 Tu hamari haisiyat ki baat mat kar pagli,
Teri saari umr bhi kam pad jaayegi samajhne mein..😎

💎 Apna mukaam hamesha alag bana kar chalta hoon,
Nazar hamesha neeche par sar utha kar chalta hoon...⚡

🗿 Bahut sharif hoon main,
Jab tak koi ungli na kare. ☠

🎯 Baatein hum bhi bahut karte hain,
Par usi se jo baat man se kare matlab se nahin. ⚡

🔥 Zindagi apni andaaz mein jeeni chahiye,
Doosron ke kehne par to,
Sher bhi circus mein naachte hain..।। 🦁

Attitude Shayari In Hindi

👑 Jo baat dil me ho use kehne se main darti nahi,
Aur jo mujhe harane ka soche main unhe chhodti nahi..💎

🔥 Peeth peeche kaun kya bolta hai farq nahin padta,
Saamne kisi ka muh nahin khulta — bas itna kaafi hai. 😎

🔥 Jiska khud ka koi stand nahin,
Woh lo**de bhi humse level ki baat karte hain. ⚡

Attitude Shayari In Hindiv
⚡ Tum bigad ke bhi kuch nahin bigaad sakte mera,
Hum bigde to din mein taare dikha denge..☠

🗿 Rivaayaton ki is jung mein,
dil yaar tak na pahunche... Buzdil nikle! 💔
Shaam hote hi daal di gayi zanjeeren,
Dost bhi kya dost — sangdil nikle! 🌑

👑 Na ghamand rakhta hoon, na gurur rakhta hoon,
Jinse meri nahin banti, main khud ko unse door rakhta hoon..⚡

👑 Hum apne se jalne walon ko bhi dua diya karte hain,
Taaki unki zindagi lambi ho hamari kaamyabiyan dekhne ke liye..🦅

🔥 Kadar kar liya karo kuch log dobara nahi milte,
Aur mere jaise to bilkul bhi nahi milte...🏆

🦅 Agar tumhe lagta hai galat hoon main,
Toh sahi ho tum — thoda alag hoon main. 🫵🏻

Attitude Shayari for Boys

😈 Jalne walon ko main block nahin karta,
Aankhon mein aankhon daal ke aur bhi zyada jalata hoon. ☠

🦅 Hamare baare mein zyada mat soch,
Kyonki hum wahan aate hain jahan log soch mein kho jaate hain.. 🏴‍☠

Attitude Shayari for Boys
⚡ Sarafat ko hamari kamzori na samaj.
Hum zid par aa gaye to rula denge,
Tum kaun ho, kya humein iski fikr nahin.
Bas tumko tumhari aukaat bata denge. 🦁

🔥 Akad teri kuch pal me nikal jayegi,
Teri aukaat bhi aaj badal jayegi,
Humse uljha to anjaam bura hoga,
Takra ke milega vo inaam bura hoga..💀

💪 Race woh log lagate hain jinhe apni kismat aazmaani ho,
Hum to woh khilaadi hain jo apni kismat ke saath khelte hain. 🦅

⚡ Kyon humse uljhne ki koshish mein ho?
Aukaat nahin hai humse takraane ki,
Kinare par baith kar khwaab dekhta hai,
Is samandar mein utar jaane ki..🦅

💪 Pehle hamare purvaj peetal ke bartan mein paani bharte the,
Humne parampara badal di — ab hum peetal hi bhar dete hain.😈

💪 Apni shakhsiyat ki tujhe kya misaal doon
Log jalte hain jahan hamara zikr aata hai..😈

Hindi Attitude Shayari 2026

🦅 Jab se mujhe pata chala hai ki mera atmvishwas mere saath hai,
Tab se maine yeh sochna band kar diya ki kaun mere khilaaf hai..🧿

💪 Kar lo nazarandaaz apne hisaab se,
Jab hum karenge to behisaab karenge. 💯

Hindi Attitude Shayari 2026
⚡ Khoon abhi wohi hai,
Na hi shauk badle na hi junoon,
Sun lo phir se riyasat gayi hai,
Rutba nahin raub aur khauf aaj bhi wahi hain..।। 🏆

🦅 Dushman bane duniya to itna yaad rakhna mere dost,
Tera yaar zinda hai to tera hathiyar zinda hai. 💥

🚀 Main to samjha do‑teen hi honge…
Tere shehar ka to har shakhs munafiq nikla! 🏴‍☠

🗿 Thuk kar chaatne ki aadat nahi hai hamari,
Ek baar dil se nikal diya to,
Wapas aane ki aukaat nahi hai tumhari..🦅

👑 Arre sahab hum khamoshi se kaam karte hain,
Iska matlab yeh nahin kisi ke baap se darte hain..🗿

💔 Toota dil, bura waqt, matlabī log, aur munafik mohabbat...
Ek seedhe-saadhe insaan ko duniadar bana dete hain. 😎

Best Badmashi Shayari

👑 Achhe hote hain hum jaise bure log,
Jo bura apna hi sochte hain, kisi aur ka nahin. ⚔

💎 Jitna mazaak udaana hai uda lo,
Kyonki ab main naye andaaz mein milne wala hoon..😈

🗿 Hamari khaamoshi ka charcha poore sheher mein hai,
Yeh na samjho hamara andaaz badal gaya hai,
Kuch pal ke liye khud ko badal kar dekha hai,
Tumhari bhool hai ki hamara mizaaj badal gaya. ☠

💪 Chal nikal — tere jaison ki yahi aukaat hai,
Tooti hoon, bikhri to nahin — kaun si badi baat hai. 🗿

🧿 Maine waqt ke pehiyon ko dheere se chalte dekha hai,
Tu gairon ki baat karta hai, maine apno ko badalte dekha hai..।। 🫵🏻

🗿 Hum basa lenge ek duniya kisi aur ke saath,
Tere aage royein ab itne bhi begaairat nahin hain hum. 🗿

🎯 Jis tarah har sawaal ka jawab nahin hota,
Usi tarah har insaan hamari tarah nawab nahin hota..।। 🗿

⚡ Jinhe humse takleef hoti hai,
Wo apna rasta khud badal lein..😎

Royal Badmashi Shayari In Hindi

💪 Muqaam woh chahiye ki jis din haaru,
Us din jeetne wale se zyada charche meri haar ke hon..🎯

😈 Mujhe itni bhi akad mat dikhaya kar meri jaan,
Warna status ki tarah tujhe bhi change kar doonga! 🗿

☠ Kisi se itna mat uljho,
Ki use todne ke liye hathiyaar ki zaroorat pade..

⚠ Hamari sharaafat ka faayda uthana band kar do,
Jis din hum badmaash ho gaye qayamat aa jaayegi...🏴‍☠

⚔ Tum apni had se bahar na aao,
Yeh had nahi tumhari jeevan rekha hai,
Guzar gaye agar apni had se tum,
Toh na jaane kahaan kho jaoge tum. 🏴‍☠

😈 Pehle main duniya ko dekhta hoon ki kaisi hai,
Phir main duniya ko dikhata hoon ki main kaisa hoon. 🔥

⚜ Nahin koi aisa ahle jigar jo kharid paaya mera mizaaj,
Mohabbat aur nafrat dono mein bemisaal hoon main.
Jo samjhe wahi jaane..।। 🖤

⚡ Jitni teri izzat karti hoon utni utaar bhi sakti hoon,
Isliye qayde mein rahoge, to hi faayde mein rahoge. ⚔

Attitude Aur Badmashi Shayari 2026

💪 Badal gaye hain hum kyunki baat ab aukaat tak aa pahunchi hai,
Jeet ki guarantee tabhi hai jab jeet aur haar dono hamare control mein ho. 🏆

💪 Apni kahani ke lekhak hum khud hain,
Jo ikchha kehti hai lik dete hain..✍🏻

Attitude Aur Badmashi Shayari 2026
⚜ Hum bhi dariya hain, humein apna hunar maaloom hai,
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega..🏴‍☠

😈 Tu mera na ho saka koi baat nahin,
Shahzaadi tere liye roye — teri itni aukaat nahin..💀

🎯 Farq unmein aur hum mein ek hi hai,
Hum unhein jalate hain aur woh hum se jalte hain..🗿

🦁 Ab tak jitne mere khilaaf khade hue hain,
Woh sabhi kabar mein pair faila ke pade hue hain. 💣

💎 Main ab kisi insaan se muhabbat nahin karta,
Bas paiso se muhabbat karta hoon.
Kyonki insaan bhi paiso se hi muhabbat karta hai. 😎

🦅 Raaj to hamara har jagah hai,
Pasand karne walon ke dil mein,
aur na‑pasand karne walon ke dimaag mein. 💎

🦁 Woh mujhe zindagi jeene ka tareeka bata rahe hain,
Jinki aukaat mere attitude ke barabar bhi nahin! ☠

Doston, Ye shayariyan sirf sabdh nahi balki ek bold personality ka izhar hain. aaj ke is article me tu ne jo mehsoos kiya Badmashi ka asli maza wo jazba jo kisi se dikhawa nahi, balki apne andar ki ek aag hoti hai. Ye Best Badmashi Shayari In Hindi 2026 unhi doston ke liye hai jo duniya ke saamne apni soch aur style se pehchaane jaate hain, jo jhuke nahi, rukte nahi, aur har mushkil me apni pehchaan banate hain. Ye shayariyaan tere andar ke tashan aur confidence ko aur tez karengi, taaki jab tu bole “hum se panga mat lena” — to duniya samajh jaaye ke samne koi aam banda nahi, ek royal banda khada hai. filhal Is Article ko yahi khtm krte hain or Milte hain agle article me ek aur swag aur style bhare content ke sath. Dhanywaad❤️

Killer Attitude Shayari 2026 😎 | Bindaas Attitude Lines

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *